PayPal Account Hindi Me/How to Create And Verify PayPal Account In Esay Step
PayPal Kya Hai?
PayPal Account Banane Ke Liye Kya Kya Jaruri Hai?
1. Email Address
2. PAN Card
3. Bank Account.
4. Credit / Debit Card (Compulsory nahi hai)
5. Mobile Number
PayPal Account Banane Ke Liye Niche Ki Step Puri Kare.
Step 1: Site Pe Jane Ke liye yaha click kare
Baad me signup pe click kare
Phle to hame ye janna hoga ki PayPal kya hai aur iski kya jarurat hai jab ki hamare pass bank account hai.PayPal ka use karke aap kisi bhi international site se shopping kar sakate hai. Apne Kisi Bahar Desh me rehane wale friends ko paise send kar sakte hai ya receive kar sakte hai.
Jab aap kisi bhi online earning site pe kam karte hai to sabhi online earning site aapko payment PayPal (Payza,STP) ke Jariye Karti hai. Aur bad me PayPal wahi Paise apke Bank Account me transter Kar deta Hai.PayPal ek trusted or safe site hai.Ispe SSL (Security Scoket Layer) Jo apke data ko encrypt karta hai. Jiski vajaha se hacker apka account hack nahi kar sakate.
Yaad Rakhe: PayPal ka jo Email hota hai wahi apka PayPal Address hota hai.
Jab bhi aap kisi site se paise nikalana chahate hai to waha apko apna PayPal ka email address dena hota hai.
Step 2: Uske Baad Individual ko Select Kare aur continue pe click kare.
Step 3: Country Phle hi select hogi Indian nahi hai to select karle. Apna Eamil id aur do baar password dale aur continue pe click kare.
Step 4:
form bhare.
Agree & Create Account Pe Click karke continue pe click kare.
Step 5: Baad Me apke samane ek form aayega jisme aapko apni credit/Debit Card ki jankari bharni hogi.Agar Aapke pass Credit/Debit Card Nahi hai to "I’ll link my card later" is par click karke baad me bhi jankari bhar sakate hai.
Step 6: Apka PayPal Account open ho gaya.
PayPal Account Verity Kaise Kare ?
Apka PayPal Account open ho gaya. Par ye abhi limited hai iske liye aapko
Niche diye Gaye Task Pure Karne Hoge.
1. Confirm Email
2. Add bank account
3. Add your PAN card
4. Purpose Code
Step 1: Apna Eamil open kare usme PayPal ka jo email aaya hai use open karke confirm kare.
Step 2: Baad me Vo apko 2 Security question puchenge.Vaha se Koi bhi do question select kare aur unke jawab likhe. Iska ye fayada hai ki agar aap apna PayPal Ka Password Bhul jate hai to wo recover karne ke liye ye question jaruri hote hai.Aur submit pe ClickKare.
Step 3: Uske Baad Aapko Apna Bank Account Jodna Hoga. Usme Apko Niche Ki Jankari Bharani Hogi.
Bank Account Pe jo aapka naam hai wo.
Account Number Aur Bank Ka Naam.
IFSC Code.
Step 4: Uske Baad PayPal aapke account me 2 small amount dalega (Rs.1 to Rs.1.5). Wahi 2 Small amount apko yaha pe dalani hogi.
Step 5: Uske Baad aapko apni PAN Card ki Details Dalni Hogi.
Step 6: Uske baad apko PayPal Pe Purpose Code Dena hota hai.
Iska matlab hai Bank ko Ye pata chalta hai ki aap PayPal ka use kis kaam ke liye karna chahate hai. Maine yaha pe aap 'Advertising and market research' select kiya hai. Agar aap online earning, blogging se realted kam karte hai to yahi select kare.
Aapka PayPal Account Verified ho jayega. Asha karta hu ki aapko ye meri post acchi lagi hogi agar aapko upar ke step me kahi par bhi pareshani ho to aap mujhe comment me likh sakte hai.
Hamare Latest Update ke liye Subscribe karna na bhule taki aapko hamare latest update aapke email pe aye.
Be sure to also visit our website here: www.auctionessistance.com/shop
ReplyDelete