Paytm Kya Hai Aor Paytm Par Account Kaise Banaye/Paytm Se Paise Kaise Kamaye: Paytm Se Paise Kamane Ke 2 Real Tarike
Paytm Kya Hai Aor Isse Kaise Use Kare And Kya Kaam Aata Hai . Agar Aap Iss Article Ko Padh Rahe Hai Toh Aap Complete Iske Baare Me Details Jan Jayenge . Paytm Promo Code Aor Coupons Ke Liye Popular Hain . Kyu Ki Iske Promo Code Aor Coupons Mobile Me Sasta Recharge Cashback Me Kaam Aate Hai . Online Market Me Sabse Phele Ye Hi Launch Huaa . Kuch Hi Din Baad Ye Bhut Popular Ho Gaya
Paytm Se Aap Ghar Baithe Bhut Saare Work Aaraam Se Kar Sakte Hain Unki List Ki Jankari Me Aage Bataunga Lekin Usse Phele Hame Iske Baare Me Janna Bhi Jaruri H . Jaisa Ki Iske Ek Android Application bhi H Jisse Aap Playstore Se Download Kar Sakte ho . Kuch Samaye Phele Ham Apne Phone Me Recharge Karwane Ke Liye Market Jate They . Lekin Ab Market Me Jane Ki Jarurat Ko Paytm Ke Founder Ne Khatam Kar Diya Hain .
Iski Sahayata Se Ham Ghar Baithe Apne Ghar Ka Bijli Ka Bill , DTH Recharge , Mobile Recharge , Online Shopping Payment , Bhut Se Ese Work Jinke Liye Hame Market Me Jane Ki Jaruart Nahi Hain Ham Inn Sab Work Ko Ghar Baithe Hi Kar Sakte Hain. Iske Liye Aapko Sabse Phele Paytm App Download Karna Hoga Aor Fir Isme Account Banankar Register Karna Hoga . Ab Aapke Paas Bank ATM , Credit Card Ki Jaruart Hogi Aor Bank Me Blance Bhi Hona Jaruri Hain .
Fir Aap Kahi Par Bhi Rehkar Online Kuch Bhi Shopping Kar Sakte Ho . In Sabki Jankari Mai Aapko Step By Step Bata Raha Hu .
Paytm Kya Hai Aor Iss Par Account Kaise banaye
1. First Of All Play Store Se Paytm App Download Karke Mobile Me Install Kare
2. Ab Ise Open Kare ” Account ” Par Click Kare .
3. Ab Upar Right Side Me Sinup Likha Hoga Uspe Click Kare
Yha Par
1. Apna mobile number Dale
2. Apni Gmail id Dale
3 . Jaisa Isme Bataya H ussi traha koi password lagaye
1. Apna mobile number Dale
2. Apni Gmail id Dale
3 . Jaisa Isme Bataya H ussi traha koi password lagaye
Ex:- hgdfdjhhhA7
sgjkihbvcfK6
sgjkihbvcfK6
Isme Last ke 2 Ank Capital Aor Number Hona Chahiye
4. Ab Aapke Number Par Ek OTP Sms Aayga Usme 6 Anko ka Code Aayga
Jo Code H Unko Isme dale aor Done pe Click Kare .
5 . Ab Last me Aapko Apni Date of Birth Aor Apna Name Enter Karke ” Confirm ” Par Click Karna Hoga .
6. Congregation ! Aapka Paytm Account Successful Register Ho Gaya H .
6. Congregation ! Aapka Paytm Account Successful Register Ho Gaya H .
Paytm Se Online Recharge Kaise Kare
1. Sabse Phele Home Par Jaye Aor Niche images Dekhe
Isme aapko
1. Mobile number ( jisme Recharge Dalna H )
2. Sim Name Select kare
3. Kitne ka Dalna h Amount Enter kare
2. Sim Name Select kare
3. Kitne ka Dalna h Amount Enter kare
” Proceed To Recharge ” Par Click Kare .
2. Ek Baar Aor ” Proceed To Pay Rs. 000″ Par Click Karna
3 . Ab Aapko ATM/ Debit Card Ki Details Bharni Hogi .
1. Iska Matlab H Aap 10 ka recharge karoge
2. Apne card ke 16 Anko Wala Number dale
3. Card ki Expiry Date
4. Card Ke Piche 3 Anko Wala CVV code Dale
5 . Pay Now pe Click Kare
4. Ab Aapse ATM Pin Ke Liye Pucha Jayga Wo Dale .
5. last Me Aapke number Par OTP Aayga . otp dale aor verify kare
Note :-
Ye Last wala otp Aapke Usi Mobile Number Par Aayga Jo Aapke Bank Account Se Connect H .
Agar Aapke Paas Koi Paytm Promo Code Yaa Coupons H Toh Aap Free recharge Bhi Kar Sakte Hain .
Agar Aapke Paas Koi Paytm Promo Code Yaa Coupons H Toh Aap Free recharge Bhi Kar Sakte Hain .
Friends Dekha Paytm Kya Hai Aor Iss Se Recharge Kaise Kare iski Complete Details In Hindi Me Samajna Kitna Aashan Tha . Agar Ab Bhi Iske Baare Me Koi Sawaal H Toh Hame Comment Karke Bataye . Aapki Help Karne Me Hame Khusi Hogi .
Paytm Se Paise Kaise Kamaye: Paytm Se Paise Kamane Ke 2 Real Tarike
Aaj Paytm India ka sabse bada aur useful online wallet ya E-wallet ban gaya hai. Paytm ka use mobile recharge, pay bills, ticket booking etc ke liye kiya jata hai. Lekin aaj paytm itna famous ho gaya hai ki iska istemaal har sarvjanik places par hone laga hai. Jaise Sabji bechne wala bhi paytm se hi payment recieve karne laga hai. To aise me hamare dimag me khayal ata hai ki kya hum bhi paytm se paise kama sakte hai. To isliye is main apko paytm se paise kamane real tarikebatane ja raha hu.
Shuru karne se pahle thoda sa paytm ke baare me jaan lete hain-
PayTm Kya hai – What is Paytm in Hindi
Paytm website ko Vijay Shekar Sharma dwara 2010 me launched kiya gaya tha. Starting me paytm mobile recharge, ticket booking, electricity bills etc payment ke liye use kiya jata tha. Lekin aaj ye e-commerce website hai. Jispe aap lagbhag sabhi electronics saman kharid sakte ho. Aaj paytm Duniya ki top 10 shopping websites me se ek hai.
Lekin paytm sabse jyada famous apne online wallet ke liye hai. Aaj paytm wallet ka use lagbhag sabhi online payments ke liye hone laga hai.
Paytm Services-
Chaliye ab jyada time na waste na karte huye topic par ata hu ki kis tarah aap paytm se paise kama sakte ho.
PayTm se Paise Kamane ke 3 Real Tarike Hindi Me Jankari
Paytm se paise kamane ke tarike-
1. Recharge And Get Cash Back
Paytm se paise kamane ka ye sabse best aur easy tarika hai. Is tarike se paise kamane ke liye apko kam se kam 1000 Rs invest karne padenge. Ye 1000 rupay apko apne paytm wallet me add karne hai. Paytm wallet me paise add karne ke baad aap apne relative aur neighbours ka mobile rechagre, DTH recharge karke paise kama sakte ho.
For Example: Agar aapne apne kisi relative ya neighbour ka mobile recharge ya dish tv recharge 250 rs ka kiya. To agar aap cash bakck offer use karte ho to apko lagbhag 20-30 rupay wapas mil jayege.
PayTm Wallet Me Paise Kaise Add Kare: How to use paytm wallet in Hindi
Paytm wallet me paise add karna bahut easy hai. Aap 3-4 easy steps me apne paytme wallet me paise add kar sakte ho.
Step 1. Sabse pahle apne paytm account par login kar lijiye aur agar aapne paytm par aacount nahi banaya hai. To Paytm website par visit karke account bana sakte ho.
Step 2. Account login karne ke baad Paytm wallet par click kijiye.
Step 3. Ab is form me amount fill kijiye aur Add Money to Wallet par click kar dijiye.
Step 4. Next step me apko apne credit card ya debit card ki detail bharni hai. Detail fill karne ke baad apke mobile number par confermation code ayega uske baad apke wallet me paise add ho jayenge.
Ab aap apne relative etc ka mobile recharge, DTH recharge karke commission kama sakte ho. Iske alawa aap electricity bill, mobile bills etc se bhi earn kar sakte ho.
2. Become a seller on PayTm – Sell on Paytm
Jaise ki main pahle hi bata chuka hu ki paytm ek e-commerce website hai. Agar aap paytm se paise kamana chahte ho Aap paytm par seller bankar apna koi bhi product sell kar sakte ho. Aap paytm par books sell kar sakte ho aur agar aap ek acche author ho aap apni khud ki likhi huyi e-book sell kar ke acche paise kama sakte ho.
PayTm Seller Kyu bane?
- Aaj paytm par lagbhag 10 Cr+ trusted customers hai.
- 1 lac+ seller already paytm par sell kar rahe hai.
- 500+ categories ke antargat aap apne goods sell kar sakte ho.
Paytm seller kaise bane – How to become a seller on PayTm
Agar Aap paytm par apna product sell karna chahte ho aur paytm seller banna chahte ho. To uske liye niche di huyi steps follow kijiy-
Step 1. Sabse Pahle Paytm Marketplace Signup par click kijiye.
(Ab Ek form open hoga usko fill karna hai.)
(Ab Ek form open hoga usko fill karna hai.)
Is form me apna Email ID, Name aur mobile number enter karke Sell on Paytm par click kar dijiye.
Form fill karne ke 24-48 hour me Paytm team apko call kar ke apse inquiry karegi. Aagar aap is inquery me khare utarte ho tab aap paytm par apna product sell kar sakte ho.
Paytm Cash Ko bank Me transfer kaise kare?
- Paytm Wesite par visit kijiye.
- Ya phir Paytm mobile app open kare.
- Send ke icon par click kare.
- Click karte hi side me send to bank likha ayega us par click kare.
- Ab ek form open hoga jisme apko ye details fill karni hain
- Account number
- Ifsc code
- Account holder ka naam
- Amounts
Ye sabhi detail fill karke send button par click kijiye. Apke paise kuch hi minute me bank me ajanege.
NOTE – Bank me minimum transfer karne ke liye 104 rs hona jaruri hai. or apke har transaction me paytm 4% fee katega.